Ek lamha ye bhi aana tha
Jab koi nazaro se dur ja rha tha
Hum khade the in palko ko jhukaye
Unke laut aane ki aas lagaye
Par khuda ki bhi ye zidd thi aur
Hamari dua me na itni shiddat thi
Zindagi ke lamhe aankhon ke saamne the
Jo dur gaye hamesha wo koi apne hi the
Ab kyun vaasta is haqeeqat se na tha
Kyu dil use pane ki chahat rakhta tha
Jo ji lia wo to ek lamha tha
jo hua paraya wahi to sapna tha
sapno ka koi ant nai hota
honi pe kisi ka zor nai chalta


2 comments:
dats really gud....bdw yeh shayari ka shok kab se laga.....
उस लम्हों को याद करो जो तुम्हारा था, उन लम्हों में रम जाओ जो तुम्हारे साथ था. शिद्दत तो थी तुम्हारी आँखों में, तुम्हारे अहसासों में,
तुम्हारी दुआ हुयी कबूल खुदा के मयखाने में, दिल के नजराने में. राही मर, राह अमर यह चलेगा यह रीत होगी जिंदगी के दस्तारखाने में..
Post a Comment